Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi ghazal ho ye lahja nahin badalte hum

Sudesh Kumar Mehr

koi ghazal ho ye lahja nahin badalte hum

Sudesh Kumar Mehr

MORE BYSudesh Kumar Mehr

    koī ġhazal ho ye lahja nahīñ badalte ham

    ki sach ho kitnā bhī kaḌvā nahīñ badalte ham

    kisī galī se ye rishta nahīñ badalte ham

    tumhāre ba.ad bhī rasta nahīñ badalte ham

    khulī kitāb ke jaisī hai zindagī apnī

    kisī ke sāmne chehra nahīñ badalte ham

    lahūluhān hoñ nazreñ ruuh ho zaḳhmī

    hamārī āñkhoñ sapnā nahīñ badalte ham

    tamām umr ab kyuuñ na ḳhatm ho jaa.e

    tumhāre pyaar qissa nahīñ badalte ham

    jo jaisā hai use vaisā ham ne chāhā hai

    mohabbatoñ meñ ye sikka nahīñ badalte ham

    vafā raah ke pakke haiñ ham musāfir bhī

    mileñ na manzileñ rasta nahīñ badalte ham

    kisī kner ke phūloñ se surḳh hoñTh us ke

    guloñ se aaj bhī rishta nahīñ badalte ham

    tamām shakleñ hameñ ek jaisī lagtī haiñ

    kisī ke vāste chashma nahīñ badalte ham

    kaTā-phaTā sahī hai ye pairahan sach

    na.e libās se kapḌā nahīñ badalte ham

    ye gul-mohar haiñ shāḳheñ kisī ki yaad liye

    kisī yaad chehra nahīñ badalte ham

    kabhī yahīñ pe aa kar vo baiTh jaatī thī

    isī liye to ye kamra nahīñ badalte ham

    koi ghazal ho ye lahja nahin badalte hum

    ki sach ho kitna bhi kaDwa nahin badalte hum

    kisi gali se ye rishta nahin badalte hum

    tumhaare baad bhi rasta nahin badalte hum

    khuli kitab ke jaisi hai zindagi apni

    kisi ke samne chehra nahin badalte hum

    lahuluhan hon nazren ya ruh ho zaKHmi

    hamari aankhon ka sapna nahin badalte hum

    tamam umr hi ab kyun na KHatm ho jae

    tumhaare pyar ka qissa nahin badalte hum

    jo jaisa hai use waisa hi hum ne chaha hai

    mohabbaton mein ye sikka nahin badalte hum

    wafa ki rah ke pakke hain hum musafir bhi

    milen na manzilen rasta nahin badalte hum

    kisi kner ke phulon se surKH honTh us ke

    gulon se aaj bhi rishta nahin badalte hum

    tamam shaklen hamein ek jaisi lagti hain

    kisi ke waste chashma nahin badalte hum

    kaTa-phaTa hi sahi hai ye pairahan sach ka

    nae libas se kapDa nahin badalte hum

    ye gul-mohar ki hain shaKHen kisi ki yaad liye

    kisi ki yaad ka chehra nahin badalte hum

    kabhi yahin pe hi aa kar wo baiTh jati thi

    isi liye to ye kamra nahin badalte hum

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now