koi hai jo shikast-e-zabt-e-gham hone nahin deta
koī hai jo shikast-e-zabt-e-ġham hone nahīñ detā
maiñ ronā chāhtā huuñ aur vo rone nahīñ detā
sar-e-āġhāz har shab ik nayā ġham gher letā hai
jo ḳhud bhī jāgtā hai aur mujhe sone nahīñ detā
na.e ġham baḳhshtā hai dil ko bahlā.e bhī jaatā hai
ġharaz vo e'tibār-e-ġham kabhī khone nahīñ detā
bahut jī chāhtā hai ḳhud ko ab ro leñ sar-e-hastī
koī hai jo ye rasm-e-ġham adā hone nahīñ detā
ajab ik sho.ala-e-ġham fasl-e-ulfat phūñk detā hai
na.ī ik fasl phir bo.eñ magar bone nahīñ detā
koi hai jo shikast-e-zabt-e-gham hone nahin deta
main rona chahta hun aur wo rone nahin deta
sar-e-aghaz har shab ek naya gham gher leta hai
jo KHud bhi jagta hai aur mujhe sone nahin deta
nae gham baKHshta hai dil ko bahlae bhi jata hai
gharaz wo e'tibar-e-gham kabhi khone nahin deta
bahut ji chahta hai KHud ko ab ro len sar-e-hasti
koi hai jo ye rasm-e-gham ada hone nahin deta
ajab ek shoala-e-gham fasl-e-ulfat phunk deta hai
nai ek fasl phir boen magar bone nahin deta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.