Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi harf-e-nafi na kaam aaya

Baqar Mehdi

koi harf-e-nafi na kaam aaya

Baqar Mehdi

MORE BYBaqar Mehdi

    koī harf-e-nafī na kaam aayā

    kitnī sachchī thī dostī apnī

    Thokareñ khā ke ke surḳh-rū Thahrā

    ik du'ā hai ye zindagī apnī

    ab kahāñ hai koī harīf apnā

    ḳhuub Dartī hai be-kasī apnī

    kaise tārīḳh ko bhulā Dālūñ

    ḳhuuñ meñ Duubī hai ye sadī apnī

    kuchh na khātā huuñ kuchh na piitā huuñ

    bhūkī sotī hai muflisī apnī

    ḳhālī botal takā kartī hai

    kitnī pyāsī hai mai-kashī apnī

    shāyad apnā ḳhudā tarāsh liyā

    ab kahāñ hai vo bandagī apnī

    shāyad 'iqbāl' se Darī hogī

    pahle sarshār thī ḳhudī apnī

    saare alfāz saath chhoḌ ga.e

    saada kāġhaz hai shā'irī apnī

    kārvāñ chhoḌ ke vo aayā hai

    ik musāfir hai rahbarī apnī

    koi harf-e-nafi na kaam aaya

    kitni sachchi thi dosti apni

    Thokaren kha ke ke surKH-ru Thahra

    ek du'a hai ye zindagi apni

    ab kahan hai koi harif apna

    KHub Darti hai be-kasi apni

    kaise tariKH ko bhula Dalun

    KHun mein Dubi hai ye sadi apni

    kuchh na khata hun kuchh na pita hun

    bhuki soti hai muflisi apni

    KHali botal taka hi karti hai

    kitni pyasi hai mai-kashi apni

    shayad apna KHuda tarash liya

    ab kahan hai wo bandagi apni

    shayad 'iqbaal' se Dari hogi

    pahle sarshaar thi KHudi apni

    sare alfaz sath chhoD gae

    sada kaghaz hai sha'iri apni

    karwan chhoD ke wo aaya hai

    ek musafir hai rahbari apni

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now