Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi ho dard musalsal to nind aati hai

Dr. Yasin Aatir

koi ho dard musalsal to nind aati hai

Dr. Yasin Aatir

MORE BYDr. Yasin Aatir

    koī ho dard musalsal to niiñd aatī hai

    badan meñ ho koī halchal to niiñd aatī hai

    hameñ sukūn mayassar nahīñ hai ik pal bhī

    tumhārī yaad ho pal pal to niiñd aatī hai

    talab nahīñ hai kisī aur ḳhush-badan hameñ

    tumhārā paas ho āñchal to niiñd aatī hai

    kabhī na tum se rahī guftugū adhūrī

    ġhazal ho jab bhī mukammal to niiñd aatī hai

    ajiib ḳhauf lāhaq hai bastiyoñ se hameñ

    qarīb ho koī jangal to niiñd aatī hai

    pasand hai hameñ shorish fasād-e-gird-o-navāh

    agar ho shahr mo.attal to niiñd aatī hai

    badal diyā hai zamāne ne yuuñ hamārā mizāj

    sajā huā ho jo maqtal to niiñd aatī hai

    kaḌak rahī ho jo bijlī to Dar nahīñ lagtā

    garaj rahe hoñ jo bādal to niiñd aatī hai

    koī bhī ḳhvāb Darātā nahīñ hai ab 'ātir'

    dikhā.ī de hameñ daldal to niiñd aatī hai

    koi ho dard musalsal to nind aati hai

    badan mein ho koi halchal to nind aati hai

    hamein sukun mayassar nahin hai ek pal bhi

    tumhaari yaad ho pal pal to nind aati hai

    talab nahin hai kisi aur KHush-badan ki hamein

    tumhaara pas ho aanchal to nind aati hai

    kabhi na tum se rahi guftugu adhuri si

    ghazal ho jab bhi mukammal to nind aati hai

    ajib KHauf sa lahaq hai bastiyon se hamein

    qarib ho koi jangal to nind aati hai

    pasand hai hamein shorish fasad-e-gird-o-nawah

    agar ho shahr moattal to nind aati hai

    badal diya hai zamane ne yun hamara mizaj

    saja hua ho jo maqtal to nind aati hai

    kaDak rahi ho jo bijli to Dar nahin lagta

    garaj rahe hon jo baadal to nind aati hai

    koi bhi KHwab Daraata nahin hai ab 'atir'

    dikhai de hamein daldal to nind aati hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now