Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi ho sakta bhi tha hamil nawa-e-raaz ka

Muslim Maleganwi

koi ho sakta bhi tha hamil nawa-e-raaz ka

Muslim Maleganwi

MORE BYMuslim Maleganwi

    koī ho saktā bhī thā hāmil navā-e-rāz

    āḳhir ik ik taar TuuTā zindagī ke saaz

    muntazir hai ik jahāñ husn-e-karishma-sāz

    ab uThā bhī dījiye parda harīm-e-nāz

    zikr mujh se kyoñ hai sūr-e-hashr āvāz

    ye to ik bigḌā huā naġhma hai mere saaz

    uf re ye husn-e-tamāshā dost shauq-e-numūd

    kar diyā kun kah ke parda faash harf-e-rāz

    dil dil meñ ro ke misl-e-sham.a ham chup rah ga.e

    kyā asar mahfil pe hotā sāz-e-be-āvāz

    ho agar sachchī taḌap miTTī meñ bhī paḌtī hai jaañ

    dil hai kyoñ tālib masīh-o-ḳhizr ke e.ajāz

    sub.h hote hote āḳhir vo bhī uThvā.ī ga.ī

    rāzdāñ juz sham.a thā kaun us harīm-e-nāz

    rakh un nau-ḳhez kaliyoñ ne kuchh jalvoñ sharm

    varna kyā hashr is chaman meñ ho tumhāre raaz

    va.ada-e-jannat 'muslim' kis liye khā.eñ fareb

    hai nigāhoñ meñ tasavvur ik bahār-e-nāz

    koi ho sakta bhi tha hamil nawa-e-raaz ka

    aaKHir ek ek tar TuTa zindagi ke saz ka

    muntazir hai ek jahan husn-e-karishma-saz ka

    ab uTha bhi dijiye parda harim-e-naz ka

    zikr mujh se kyon hai sur-e-hashr ki aawaz ka

    ye to ek bigDa hua naghma hai mere saz ka

    uf re ye husn-e-tamasha dost ka shauq-e-numud

    kar diya kun kah ke parda fash harf-e-raaz ka

    dil hi dil mein ro ke misl-e-shama hum chup rah gae

    kya asar mahfil pe hota saz-e-be-awaz ka

    ho agar sachchi taDap miTTi mein bhi paDti hai jaan

    dil hai kyon talib masih-o-KHizr ke eajaz ka

    subh hote hote aaKHir wo bhi uThwai gai

    raazdan juz shama tha kaun us harim-e-naz ka

    rakh li un nau-KHez kaliyon hi ne kuchh jalwon ki sharm

    warna kya hashr is chaman mein ho tumhaare raaz ka

    wada-e-jannat ka 'muslim' kis liye khaen fareb

    hai nigahon mein tasawwur ek bahaar-e-naz ka

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now