koi ek sham hum faqiron mein
koī ik shaam ham faqīroñ meñ
kar le ārām ham faqīroñ meñ
jazb-o-mastī meñ tū bhī Daal dhamāl
aur kamā naam ham faqīroñ meñ
jā kahīñ khol aur dukāñ apnī
terā kyā kaam ham faqīroñ meñ
ruuh tak to pahuñch nahīñ paatā
'ishq nākām ham faqīroñ meñ
mai se mash.hūr hai kahīñ 'amjad'
aañkh kā jaam ham faqīroñ meñ
koi ek sham hum faqiron mein
kar le aaram hum faqiron mein
jazb-o-masti mein tu bhi Dal dhamal
aur kama nam hum faqiron mein
ja kahin khol aur dukan apni
tera kya kaam hum faqiron mein
ruh tak to pahunch nahin pata
'ishq nakaam hum faqiron mein
mai se mashhur hai kahin 'amjad'
aankh ka jam hum faqiron mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.