Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi ilzam na duniya mein kisi par rakhna

Daud Naseeb

koi ilzam na duniya mein kisi par rakhna

Daud Naseeb

MORE BYDaud Naseeb

    koī ilzām na duniyā meñ kisī par rakhnā

    dil lahū ho bhī to chehre ko gul-e-tar rakhnā

    ḳhaak ho ki ho kāñToñ vo bistar ai dost

    niiñd aa jā.egī takiya ḳhudā par rakhnā

    kyā ḳhabar raah meñ kab saath ḳhushī chhūTe

    zindagī ġham ko bhī saath apne barābar rakhnā

    dekh āñkhoñ zamīñ hai na laraz jaa.e kahīñ

    ai tasavvur yahāñ paañv sañbhal kar rakhnā

    zānu-e-yār samajh kar use so jā.eñge

    ham ġharīboñ ke sirhāne zarā patthar rakhnā

    chāhtā hai ye mire daur dastūr 'nasīb'

    tishnagī dil meñ to āñkhoñ meñ samundar rakhnā

    koi ilzam na duniya mein kisi par rakhna

    dil lahu ho bhi to chehre ko gul-e-tar rakhna

    KHak ka ho ki ho kanTon ka wo bistar ai dost

    nind aa jaegi takiya tu KHuda par rakhna

    kya KHabar rah mein kab sath KHushi ka chhuTe

    zindagi gham ko bhi sath apne barabar rakhna

    dekh aankhon ki zamin hai na laraz jae kahin

    ai tasawwur tu yahan panw sanbhal kar rakhna

    zanu-e-yar samajh kar use so jaenge

    hum gharibon ke sirhane zara patthar rakhna

    chahta hai ye mere daur ka dastur 'nasib'

    tishnagi dil mein to aankhon mein samundar rakhna

    Source:

    Rasta (Pg. 18)

    • Author: Daud Naseeb
      • Publisher: Speed Printer, Hyderabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now