Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi jadu na fasana na fusun hai yun hai

Rehana Roohi

koi jadu na fasana na fusun hai yun hai

Rehana Roohi

MORE BYRehana Roohi

    koī jaadū na fasāna na fusūñ hai yuuñ hai

    āshiqī silsila-e-kār-e-junūñ hai yuuñ hai

    nahīñ hai to tire hijr vahshat sahī

    ki ye vahshat mire dil sukūñ hai yuuñ hai

    kuchh nahīñ kahnā bhī kah detā hai saarā ahvāl

    ḳhāmushī ā.īna-e-hāl-e-darūñ hai yuuñ hai

    jab se dekhā hai mohabbat ko adāvat karte

    tab se hoñToñ pe mire haañ hai na huuñ hai yuuñ hai

    ab tire saath mirā nahīñ lagtā sā.īñ

    ne pūchhā thā namī aañkh meñ kyuuñ hai yuuñ hai

    aaj bhī kal tarah der se ghar aa.egā vo

    phir bahāne vahī dohrā.egā yuuñ hai yuuñ hai

    koi jadu na fasana na fusun hai yun hai

    aashiqi silsila-e-kar-e-junun hai yun hai

    tu nahin hai to tere hijr ki wahshat hi sahi

    ki ye wahshat hi mere dil ka sukun hai yun hai

    kuchh nahin kahna bhi kah deta hai sara ahwal

    KHamushi aaina-e-haal-e-darun hai yun hai

    jab se dekha hai mohabbat ko adawat karte

    tab se honTon pe mere han hai na hun hai yun hai

    ab tere sath mera ji nahin lagta sain

    tu ne puchha tha nami aankh mein kyun hai yun hai

    aaj bhi kal ki tarah der se ghar aaega wo

    phir bahane wahi dohraega yun hai yun hai

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Rehana Roohi

    Rehana Roohi

    RECITATIONS

    Rehana Roohi

    Rehana Roohi,

    Rehana Roohi

    koi jadu na fasana na fusun hai yun hai Rehana Roohi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now