Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi jahan mein na yarab ho mubtala-e-firaq

Hafeez Jaunpuri

koi jahan mein na yarab ho mubtala-e-firaq

Hafeez Jaunpuri

MORE BYHafeez Jaunpuri

    koī jahāñ meñ na yārab ho mubtalā-e-firāq

    kisī jaan dushman na ho balā-e-firāq

    hazār tarah ke sadme ise gavārā haiñ

    magar uThā nahīñ saktā hai dil jā-e-firāq

    laboñ pe jaan hai ab sadma-hā-e-dūrī se

    ḳhabar visāl detī hai ibtidā-e-firāq

    zabān band hai ye josh-e-ġham aalam hai

    bayān ho nahīñ saktā hai mājrā-e-firāq

    kareñ jo zabt kalejā sarāhiye un

    ki āsmāñ ko bulāte haiñ nāla-hā-e-firāq

    judā 'hafīz' huā kaun tere pahlū se

    laboñ par āTh-pahr hai jo haa.e haa.e firāq

    koi jahan mein na yarab ho mubtala-e-firaq

    kisi ki jaan ki dushman na ho bala-e-firaq

    hazar tarah ke sadme ise gawara hain

    magar uTha nahin sakta hai dil ja-e-firaq

    labon pe jaan hai ab sadma-ha-e-duri se

    KHabar visal ki deti hai ibtida-e-firaq

    zaban band hai ye josh-e-gham ka aalam hai

    bayan ho nahin sakta hai majra-e-firaq

    karen jo zabt kaleja sarahiye un ka

    ki aasman ko bulate hain nala-ha-e-firaq

    juda 'hafiz' hua kaun tere pahlu se

    labon par aaTh-pahr hai jo hae hae firaq

    Source:

    Kulliyat-e-Hafeez Jaunpuri (Pg. Ghazal Number-106 Page Number-129)

    • Author: Tufail Ahmad Ansari
      • Edition: 2010
      • Publisher: Qaumi Council Baraye Farogh-e-urdu Zaban
      • Year of Publication: 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now