Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi jhankar hai naghma hai sada hai kya hai

Naqsh Layalpuri

koi jhankar hai naghma hai sada hai kya hai

Naqsh Layalpuri

MORE BYNaqsh Layalpuri

    koī jhankār hai naġhma hai sadā hai kyā hai

    kiran hai ke kalī hai ke sabā hai kyā hai

    terī āñkhoñ meñ ka.ī rañg jhalakte dekhe

    sādgī hai ki jhijhak hai ki hayā hai kyā hai

    ruuh pyaas bujhā hai tirī qurbat ne

    koī jhiil hai jharnā hai ghaTā hai kyā hai

    naam hoñToñ pe tirā aa.e to rāhat mile

    tasallī hai dilāsa hai duā hai kyā hai

    hosh meñ ke mire hosh uḌāne vaale

    ye tirā naaz hai shoḳhī hai adā hai kyā hai

    dil ḳhatāvār-e-nazar pārsā tasvīr-e-anā

    vo bashar hai ki farishta hai ḳhudā hai kyā hai

    ban ga.ī naqsh jo surḳhī tire afsāne

    vo shafaq hai ki dhanak hai ki hinā hai kyā hai

    koi jhankar hai naghma hai sada hai kya hai

    tu kiran hai ke kali hai ke saba hai kya hai

    teri aankhon mein kai rang jhalakte dekhe

    sadgi hai ki jhijhak hai ki haya hai kya hai

    ruh ki pyas bujha di hai teri qurbat ne

    tu koi jhil hai jharna hai ghaTa hai kya hai

    nam honTon pe tera aae to rahat si mile

    tu tasalli hai dilasa hai dua hai kya hai

    hosh mein la ke mere hosh uDane wale

    ye tera naz hai shoKHi hai ada hai kya hai

    dil KHatawar-e-nazar parsa taswir-e-ana

    wo bashar hai ki farishta hai KHuda hai kya hai

    ban gai naqsh jo surKHi tere afsane ki

    wo shafaq hai ki dhanak hai ki hina hai kya hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now