Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi Khaali gaya na jis dar se aise data ka main bhikari hun

Raja Karan Prasad Karan

koi Khaali gaya na jis dar se aise data ka main bhikari hun

Raja Karan Prasad Karan

MORE BYRaja Karan Prasad Karan

    koī ḳhālī gayā na jis dar se aise daatā maiñ bhikārī huuñ

    jis har ek dil meñ mandir hai aisī mūrat maiñ pujārī huuñ

    ho gayā ḳhud shikār maiñ shikār aisā anjān maiñ shikārī huuñ

    mujh se aalam ko kyā shikāyat ho aap maiñ apnī jaañ pe bhārī huuñ

    kahtī hai dil karke kaam tamām maiñ nahīñ huuñ nazar kaTārī huuñ

    ek zarra huuñ nuur maiñ 'karan' na maiñ ḳhākī huuñ aur na naarī huuñ

    koi KHali gaya na jis dar se aise data ka main bhikari hun

    jis ka har ek dil mein mandir hai aisi murat ka main pujari hun

    ho gaya KHud shikar ka main shikar aisa anjaan main shikari hun

    mujh se aalam ko kya shikayat ho aap main apni jaan pe bhaari hun

    kahti hai dil ka karke kaam tamam main nahin hun nazar kaTari hun

    ek zarra hun nur ka main 'karan' na main KHaki hun aur na nari hun

    Source:

    Kiran (Pg. 29)

    • Author: Raja Karan Prasad Karan
      • Publisher: Intikhab Press, Hyderabad
      • Year of Publication: 1954
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now