koi KHayal na aaya tere KHayal ke baad
koī ḳhayāl na aayā tire ḳhayāl ke baa'd
nazar ko koī na bhāyā tire jamāl ke baa'd
hamāre zaḳhm lagāte rahe sadā tum ko
hare jo hote rahe yaar indimāl ke baa'd
hamāre hijr meñ un kī bhī aañkh bhar aa.ī
ḳhushī se rone lage ham bhī us malāl ke baa'd
shumār ho ga.e murdoñ meñ kitne zinda log
hayāt mil ga.ī kitnoñ ko intiqāl ke baa'd
ḳhushī ke lamhe jo aa.e to un se ham bole
zarā sā Thahro tum aa.e ho kitne saal ke baa'd
du'ā visāl kī kyoñ māñgte ho ai 'dānish'
bachegā māñgne ko kyā shab-e-visāl ke baa'd
koi KHayal na aaya tere KHayal ke ba'd
nazar ko koi na bhaya tere jamal ke ba'd
hamare zaKHm lagate rahe sada tum ko
hare jo hote rahe yar indimal ke ba'd
hamare hijr mein un ki bhi aankh bhar aai
KHushi se rone lage hum bhi us malal ke ba'd
shumar ho gae murdon mein kitne zinda log
hayat mil gai kitnon ko intiqal ke ba'd
KHushi ke lamhe jo aae to un se hum bole
zara sa Thahro tum aae ho kitne sal ke ba'd
du'a visal ki kyon mangte ho ai 'danish'
bachega mangne ko kya shab-e-visal ke ba'd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.