Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi KHubsurat mujhe ab nazara nahin dekhna hai

Sohil Barelvi

koi KHubsurat mujhe ab nazara nahin dekhna hai

Sohil Barelvi

MORE BYSohil Barelvi

    koī ḳhūbsūrat mujhe ab nazārā nahīñ dekhnā hai

    qasam hai ḳhudā tumheñ ab dobāra nahīñ dekhnā hai

    suhūlat agar de mujhe zindagī to nayā kuchh karūñgā

    guzishta dinoñ meñ jo maiñ ne guzārā nahīñ dekhnā hai

    maiñ kis ko batā.ūñ mire saath qismat ne kyā khel khele

    mujhe ab falak par koī bhī sitārā nahīñ dekhnā hai

    abhī lutf lenā hai mujh ko ka.ī saal tere karam

    abhī zaḳhm-e-dil mujhe koī chāra nahīñ dekhnā hai

    mohabbat jidhar bhī mujhe mil rahī hai chalā rahā huuñ

    mire yaar mujh ko hamārā tumhārā nahīñ dekhnā hai

    abhī to bahut kaam 'sohil' tire bin adhūre paḌe haiñ

    abhī yaar is zindagī kinārā nahīñ dekhnā hai

    koi KHubsurat mujhe ab nazara nahin dekhna hai

    qasam hai KHuda ki tumhein ab dobara nahin dekhna hai

    suhulat agar de mujhe zindagi to naya kuchh karunga

    guzishta dinon mein jo main ne guzara nahin dekhna hai

    main kis ko bataun mere sath qismat ne kya khel khele

    mujhe ab falak par koi bhi sitara nahin dekhna hai

    abhi lutf lena hai mujh ko kai sal tere karam ka

    abhi zaKHm-e-dil ka mujhe koi chaara nahin dekhna hai

    mohabbat jidhar bhi mujhe mil rahi hai chala ja raha hun

    mere yar mujh ko hamara tumhaara nahin dekhna hai

    abhi to bahut kaam 'sohil' tere bin adhure paDe hain

    abhi yar is zindagi ka kinara nahin dekhna hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now