Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi KHwab hai na KHayal hai ye ajib surat-e-haal hai

Zakia Ghazal

koi KHwab hai na KHayal hai ye ajib surat-e-haal hai

Zakia Ghazal

MORE BYZakia Ghazal

    koī ḳhvāb hai na ḳhayāl hai ye ajiib sūrat-e-hāl hai

    vahī vahshat-e-mah-o-sāl hai ye ajiib sūrat-e-hāl hai

    kabhī sochtī huuñ ki maiñ agar tujhe be-naqāb karūñ magar

    zarā dostī ḳhayāl hai ye ajiib sūrat-e-hāl hai

    jo dil-o-nazar se to duur hai koī mas.ala to zarūr hai

    kahāñ dil ke shīshe meñ baal hai ye ajiib sūrat-e-hāl hai

    koī shīshagar koī kūza-gar koī zaḳhm de koī chārāgar

    koī tiir hai koī Dhaal hai ye ajiib sūrat-e-hāl hai

    tirī be-ruḳhī gila kare tire haq meñ koī duā kare

    koī faisla bhī muhāl hai ye ajiib sūrat-e-hāl hai

    hue munqata.a sabhī rābte kahīñ gum hue sabhī rāste

    na safar koī ma.aal hai ye ajiib sūrat-e-hāl hai

    koi KHwab hai na KHayal hai ye ajib surat-e-haal hai

    wahi wahshat-e-mah-o-sal hai ye ajib surat-e-haal hai

    kabhi sochti hun ki main agar tujhe be-naqab karun magar

    zara dosti ka KHayal hai ye ajib surat-e-haal hai

    jo dil-o-nazar se to dur hai koi masala to zarur hai

    kahan dil ke shishe mein baal hai ye ajib surat-e-haal hai

    koi shishagar koi kuza-gar koi zaKHm de koi chaaragar

    koi tir hai koi Dhaal hai ye ajib surat-e-haal hai

    teri be-ruKHi ka gila kare tere haq mein koi dua kare

    koi faisla bhi muhaal hai ye ajib surat-e-haal hai

    hue munqata sabhi rabte kahin gum hue sabhi raste

    na safar ka koi maal hai ye ajib surat-e-haal hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now