Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi KHwab tha jo bikhar gaya koi dard tha jo Thahar gaya

Rizwanur Raza Rizwan

koi KHwab tha jo bikhar gaya koi dard tha jo Thahar gaya

Rizwanur Raza Rizwan

MORE BYRizwanur Raza Rizwan

    koī ḳhvāb thā jo bikhar gayā koī dard thā jo Thahar gayā

    magar is koī bhī ġham nahīñ jo guzar gayā so guzar gayā

    ye dil-o-nazar mo.āmla bhī bahut ajīb-o-ġharīb hai

    kabhī in laboñ pe hañsī rahī kabhī ashk aañkh meñ bhar gayā

    maiñ zabāñ se kuchh bhī na kah sakā vo nazar se kuchh na samajh sakā

    na mire dil se jhijak ga.ī na to us ke dil se Dar gayā

    kabhī tujh se bhī na sambhal sakā kabhī mujh se bhī na sambhal sakā

    tirā aa.ina bhī bikhar gayā mirā aa.ina bhī bikhar gayā

    tujhe hogā us malāl kyā mujhe hogā us ḳhayāl kyā

    tire husn se bhī kashish ga.ī mire ishq se bhī asar gayā

    vo hasīn chehroñ bhiiḌ thī ki nazar bhaTaktī rah ga.ī

    tirī justujū nasha thā jo kisī moḌ par vo utar gayā

    ye jo rañg-e-fikr-o-ḳhayāl hai ye tirī nazar kamāl hai

    tirā husn thā koī aa.ina jise dekh kar maiñ sañvar gayā

    koi KHwab tha jo bikhar gaya koi dard tha jo Thahar gaya

    magar is ka koi bhi gham nahin jo guzar gaya so guzar gaya

    ye dil-o-nazar ka moamla bhi bahut ajib-o-gharib hai

    kabhi in labon pe hansi rahi kabhi ashk aankh mein bhar gaya

    main zaban se kuchh bhi na kah saka wo nazar se kuchh na samajh saka

    na mere hi dil se jhijak gai na to us ke dil se hi Dar gaya

    kabhi tujh se bhi na sambhal saka kabhi mujh se bhi na sambhal saka

    tera aaina bhi bikhar gaya mera aaina bhi bikhar gaya

    tujhe hoga us ka malal kya mujhe hoga us ka KHayal kya

    tere husn se bhi kashish gai mere ishq se bhi asar gaya

    wo hasin chehron ki bhiD thi ki nazar bhaTakti hi rah gai

    teri justuju ka nasha tha jo kisi moD par wo utar gaya

    ye jo rang-e-fikr-o-KHayal hai ye teri nazar ka kamal hai

    tera husn tha koi aaina jise dekh kar main sanwar gaya

    Source:

    Idraak Ke Saye Tale (Pg. B-48 E-49)

    • Author: Rizwanur Raza Rizwan
      • Edition: 2014
      • Publisher: Averoz Academy, Aligarh
      • Year of Publication: 2014
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now