Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi lakh tum se KHafa rahe na kisi ko KHud se juda karo

Zafar Mujeebi

koi lakh tum se KHafa rahe na kisi ko KHud se juda karo

Zafar Mujeebi

MORE BYZafar Mujeebi

    koī laakh tum se ḳhafā rahe na kisī ko ḳhud se judā karo

    yahī zindagī usuul hai gale sab se baḌh ke milā karo

    kabhī rāz-e-dil na 'ayāñ karo na to ġhair sunā karo

    tumheñ jo bhī kahnā hai shauq se mire paas aa ke kahā karo

    mire piiTh pīchhe raqīb se karo yuuñ na raaz baat tum

    jo gila hai mujh se agar koī mirī baat mujh se kahā karo

    baḌī jāñ-fazā hai ye dostī zarā dushmanī bhī lutf lo

    kabhī dushmanoñ se gale milo kabhī un ke haq meñ du'ā karo

    bhalā baat koī ye baat hai ki ho dil meñ kuchh to zabāñ pe kuchh

    jo kahā karo vo kiyā karo jo kiyā karo vo kahā karo

    koi lakh tum se KHafa rahe na kisi ko KHud se juda karo

    yahi zindagi ka usul hai gale sab se baDh ke mila karo

    kabhi raaz-e-dil na 'ayan karo na to ghair hi ki suna karo

    tumhein jo bhi kahna hai shauq se mere pas aa ke kaha karo

    mere piTh pichhe raqib se karo yun na raaz ki baat tum

    jo gila hai mujh se agar koi meri baat mujh se kaha karo

    baDi jaan-faza hai ye dosti zara dushmani ka bhi lutf lo

    kabhi dushmanon se gale milo kabhi un ke haq mein du'a karo

    bhala baat koi ye baat hai ki ho dil mein kuchh to zaban pe kuchh

    jo kaha karo wo kiya karo jo kiya karo wo kaha karo

    Source:

    Aqdar (Pg. 127)

    • Author: Zafar Mujeebi
      • Publisher: Book Corner, Motihari
      • Year of Publication: 2003
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now