Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi mazi ke jharokon se sada deta hai

Ahmad Rahi

koi mazi ke jharokon se sada deta hai

Ahmad Rahi

MORE BYAhmad Rahi

    koī maazī ke jharokoñ se sadā detā hai

    sard paḌte hue sho.aloñ ko havā detā hai

    dil-e-afsurda har gosha chhanak uThtā hai

    zehn jab yādoñ zanjīr hilā detā hai

    hāl-e-dil kitnā insān chhupā.e yaaro

    hāl-e-dil us to chehra batā detā hai

    kisī bichhḌe hue kho.e hue hamdam ḳhayāl

    kitne so.e hue jazboñ ko jagā detā hai

    ek lamha bhī guzar saktā na ho jis ke baġhair

    koī us shaḳhs ko kis tarah bhulā detā hai

    vaqt ke saath guzar jaatā hai har ik sadma

    vaqt har zaḳhm ko har ġham ko miTā detā hai

    koi mazi ke jharokon se sada deta hai

    sard paDte hue shoalon ko hawa deta hai

    dil-e-afsurda ka har gosha chhanak uThta hai

    zehn jab yaadon ki zanjir hila deta hai

    haal-e-dil kitna hi insan chhupae yaro

    haal-e-dil us ka to chehra hi bata deta hai

    kisi bichhDe hue khoe hue hamdam ka KHayal

    kitne soe hue jazbon ko jaga deta hai

    ek lamha bhi guzar sakta na ho jis ke baghair

    koi us shaKHs ko kis tarah bhula deta hai

    waqt ke sath guzar jata hai har ek sadma

    waqt har zaKHm ko har gham ko miTa deta hai

    Source:

    Rag-e-jan (Pg. 173)

    • Author: Ahmad Rahi
      • Edition: 2005
      • Publisher: Al-Hamd Publication
      • Year of Publication: 2005
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now