koi majbur pareshan koi
koī majbūr pareshāñ koī
ab nahīñ chāk-garebāñ koī
ab nahīñ dard kā darmāñ koī
chand lamhoñ kā hai mehmāñ koī
ham na hoñge to na suljhā.egā
aap kī zulf-e-pareshāñ koī
kyā ḳhabar tum ko tumhārī ḳhātir
ho gayā ḳhāk-ba-damāñ koī
sāzish-e-ahl-e-chaman se bach kar
lauT aayā sū-e-zindāñ koī
mere ghar kuchh nahīñ zulmat ke sivā
ab kare laakh charāġhāñ koī
ab na taare haiñ na sham'eñ haiñ 'aqīl'
ab nahīñ ziist kā imkāñ koī
koi majbur pareshan koi
ab nahin chaak-gareban koi
ab nahin dard ka darman koi
chand lamhon ka hai mehman koi
hum na honge to na suljhaega
aap ki zulf-e-pareshan koi
kya KHabar tum ko tumhaari KHatir
ho gaya KHak-ba-daman koi
sazish-e-ahl-e-chaman se bach kar
lauT aaya su-e-zindan koi
mere ghar kuchh nahin zulmat ke siwa
ab kare lakh charaghan koi
ab na tare hain na sham'en hain 'aqil'
ab nahin zist ka imkan koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.