Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi mujhko takta hai kanakhiyon ke pahlu mein

Jawed Ulfat

koi mujhko takta hai kanakhiyon ke pahlu mein

Jawed Ulfat

MORE BYJawed Ulfat

    koī mujh ko taktā hai kanakhiyoñ ke pahlū meñ

    chehra muskurātā hai hichkiyoñ ke pahlū meñ

    hañstī muskurātī vo mujh ko taktī rahtī hai

    chāñd jaisī ik laḌkī khiḌkiyoñ ke pahlū meñ

    pyaar paltā hai aksar saḳht-dil ke konoñ meñ

    bārisheñ barastī haiñ bijliyoñ ke pahlū meñ

    haath chhoḌ jaane māh-e-ġham december hai

    pat-jhaḌeñ taḌaptī haiñ sardiyoñ ke pahlū meñ

    ghar ke māñjhe Dorī chhat patañg aur bachcha

    ab kahāñ ye milte haiñ charkhiy.on ke pahlū meñ

    apne biivī bachchoñ yaad meñ taḌapte haiñ

    sarhadoñ pe faujī dil vardiyoñ ke pahlū meñ

    lahlahāte jañgal khilkhilātī bārish thī

    mor nāchte dekhe hirniyoñ ke pahlū meñ

    vo hasīñ bahāroñ baaġh meñ jab aatī hai

    phuul khilne lagte haiñ titliyoñ ke pahlū meñ

    niiñd jab khulī 'ulfat' us yaad aa baiThī

    karvaTeñ liiñ sāñsoñ ne garmiyoñ ke pahlū meñ

    koi mujh ko takta hai kanakhiyon ke pahlu mein

    chehra muskuraata hai hichkiyon ke pahlu mein

    hansti muskuraati wo mujh ko takti rahti hai

    chand jaisi ek laDki khiDkiyon ke pahlu mein

    pyar palta hai aksar saKHt-dil ke konon mein

    barishen barasti hain bijliyon ke pahlu mein

    hath chhoD jaane ka mah-e-gham december hai

    pat-jhaDen taDapti hain sardiyon ke pahlu mein

    ghar ke manjhe ki Dori chhat patang aur bachcha

    ab kahan ye milte hain charkhiyon ke pahlu mein

    apne biwi bachchon ki yaad mein taDapte hain

    sarhadon pe fauji dil wardiyon ke pahlu mein

    lahlahate jangal ki khilkhilati barish thi

    mor nachte dekhe hirniyon ke pahlu mein

    wo hasin bahaaron si bagh mein jab aati hai

    phul khilne lagte hain titliyon ke pahlu mein

    nind jab khuli 'ulfat' us ki yaad aa baiThi

    karwaTen lin sanson ne garmiyon ke pahlu mein

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now