Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi na dekhe gunj hawa ki

Ayub Khawar

koi na dekhe gunj hawa ki

Ayub Khawar

MORE BYAyub Khawar

    koī na dekhe guuñj havā

    nigarāñ hai ik zaat ḳhudā

    kho ga.iiñ chhoTī chhoTī uḌāneñ

    phailte shahroñ meñ chiḌiyā

    jitne sahrā vo sab mere

    sonā hai miTTī duniyā

    pahle apnī tah ko le

    dekh ravānī phir dariyā

    maiñ ne un āñkhoñ ḳhātir

    phūloñ jaisī ek duā

    un pathrīlī āñkhoñ meñ hai

    ik chup chup tasvīr vafā

    zāt-safar ke lākhoñ raste

    ābla-pā.ī mujh tanhā

    darvāze oT se jhāñke

    yaad tumhārī shakl sabā

    ġham andar nam hai 'ḳhāvar'

    bāhar aañch hai tez havā

    koi na dekhe gunj hawa ki

    nigaran hai ek zat KHuda ki

    kho gain chhoTi chhoTi uDanen

    phailte shahron mein chiDiya ki

    jitne sahra wo sab mere

    sona hai miTTi duniya ki

    pahle apni tah ko pa le

    dekh rawani phir dariya ki

    main ne un aankhon ki KHatir

    phulon jaisi ek dua ki

    un pathrili aankhon mein hai

    ek chup chup taswir wafa ki

    zat-safar ke lakhon raste

    aabla-pai mujh tanha ki

    darwaze ki oT se jhanke

    yaad tumhaari shakl saba ki

    gham andar ka nam hai 'KHawar'

    bahar aanch hai tez hawa ki

    Source :
    • Book : Funoon (Monthly) (Pg. 226)
    • Author : Ahmad Nadeem Qasmi
    • Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
    • Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now