Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi nakaam nahin dida-e-tar ki manind

Zeba Jonpuri

koi nakaam nahin dida-e-tar ki manind

Zeba Jonpuri

MORE BYZeba Jonpuri

    koī nākām nahīñ dīda-e-tar mānind

    ashk Tapkeñ na agar ḳhūn-e-jigar mānind

    hausla hai to kabhī shikva-e-uftād na kar

    parda-e-shab se ubhar nūr-e-sahar mānind

    rāt-din barq-e-balā rahtī hai masrūf-e-tavāf

    ghar kisī aur kab hai mire ghar mānind

    bartaraf sehn-e-chaman se mujhe karne vaalo

    kaun kāñToñ ko chunegā gul-e-tar mānind

    aañkh vaale to zamāne meñ bahut haiñ lekin

    kis ne dekhā hai tujhe merī nazar mānind

    kahkashāñ aur tirī rāhguzar nā-mumkin

    haañ magar hai ye tirī rāhguzar mānind

    kor-nazroñ se sivā kor-nazar haiñ 'zebā'

    ye jo aate haiñ nazar ahl-e-nazar mānind

    koi nakaam nahin dida-e-tar ki manind

    ashk Tapken na agar KHun-e-jigar ki manind

    hausla hai to kabhi shikwa-e-uftad na kar

    parda-e-shab se ubhar nur-e-sahar ki manind

    raat-din barq-e-bala rahti hai masruf-e-tawaf

    ghar kisi aur ka kab hai mere ghar ki manind

    bartaraf sehn-e-chaman se mujhe karne walo

    kaun kanTon ko chunega gul-e-tar ki manind

    aankh wale to zamane mein bahut hain lekin

    kis ne dekha hai tujhe meri nazar ki manind

    kahkashan aur teri rahguzar na-mumkin

    han magar hai ye teri rahguzar ki manind

    kor-nazron se siwa kor-nazar hain 'zeba'

    ye jo aate hain nazar ahl-e-nazar ki manind

    Source:

    Hum Sab Neend Mein Hain (Pg. 80)

    • Author: Zeba Jonpuri
      • Publisher: Urdu Qabeela
      • Year of Publication: 2004
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now