Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi nahin ki yar ki lawe KHabar mujhe

Meer Hasan

koi nahin ki yar ki lawe KHabar mujhe

Meer Hasan

MORE BYMeer Hasan

    koī nahīñ ki yaar laave ḳhabar mujhe

    ai sail-e-ashk bahā de udhar mujhe

    sub.h ho chuke kahīñ maiñ mar chukūñ

    ro baiThūñ is sahar ko maiñ sahar mujhe

    na dair ko samjhūñ huuñ na ka.aba ye tirā

    phirtā hai ishtiyāq liye ghar-ba-ghar mujhe

    minnat to sar pe tesha farhād tab maiñ luuñ

    jab sar paTakne ko na ho dīvār-o-dar mujhe

    kyā jā.ūñ jā.ūñ kartā hai jānāñ to baiTh

    maiñ dekhūñ tujh ko aur dekh ik nazar mujhe

    phir koī dam meñ aah ḳhudā jaane ye falak

    le jaave kis taraf ko tujhe aur kidhar mujhe

    ronā kabhī jo ā.ankhoñ bhī dekhā na thā 'hasan'

    so ab falak ne dil kiyā nauhagar mujhe

    koi nahin ki yar ki lawe KHabar mujhe

    ai sail-e-ashk tu hi baha de udhar mujhe

    ya subh ho chuke kahin ya main hi mar chukun

    ro baiThun is sahar hi ko main ya sahar mujhe

    na dair hi ko samjhun hun na kaba ye tera

    phirta hai ishtiyaq liye ghar-ba-ghar mujhe

    minnat to sar pe tesha ki farhad tab main lun

    jab sar paTakne ko na ho diwar-o-dar mujhe

    kya jaun jaun karta hai jaanan to baiTh ja

    main dekhun tujh ko aur tu dekh ek nazar mujhe

    phir koi dam mein aah KHuda jaane ye falak

    le jawe kis taraf ko tujhe aur kidhar mujhe

    rona kabhi jo aaankhon bhi dekha na tha 'hasan'

    so ab falak ne dil ka kiya nauhagar mujhe

    Source:

    Deewan-e-Meer Hasan (Pg. 100)

    • Author: Meer Hasan
      • Edition: 1912
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now