Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi nahin tha mere muqabil bhi main hi tha

Khushbir Singh Shaad

koi nahin tha mere muqabil bhi main hi tha

Khushbir Singh Shaad

MORE BYKhushbir Singh Shaad

  koī nahīñ thā mere muqābil bhī maiñ thā

  shāyad ki apnī raah meñ haa.il bhī maiñ thā

  apne gird maiñ ne kiyā umr bhar safar

  bhaTkāyā mujh ko jis ne vo manzil bhī maiñ thā

  ubhrā huuñ jin se bār-hā mujh meñ the sab bhañvar

  Duubā jahāñ pahuñch ke vo sāhil bhī maiñ thā

  āsāñ nahīñ thā sāzisheñ karnā mire ḳhilāf

  jab apnī ārzūoñ qātil bhī maiñ thā

  shab bhar har ik ḳhayāl muḳhātib mujhī se thā

  tanhā.iyoñ meñ raunaq-e-mahfil bhī maiñ thā

  duniyā se be-niyāzī bhī fitrat mirī thī

  duniyā ke ranj o dard meñ shāmil bhī maiñ thā

  mujh ko samajh na paa.ī mirī zindagī kabhī

  āsāniyāñ mujhī se thiiñ mushkil bhī maiñ thā

  mujh meñ thā ḳhair o shar ajab imtizāj 'shād'

  maiñ ḳhud haq-parast thā bātil bhī maiñ thā

  koi nahin tha mere muqabil bhi main hi tha

  shayad ki apni rah mein hail bhi main hi tha

  apne hi gird main ne kiya umr bhar safar

  bhaTkaya mujh ko jis ne wo manzil bhi main hi tha

  ubhra hun jin se bar-ha mujh mein the sab bhanwar

  Duba jahan pahunch ke wo sahil bhi main hi tha

  aasan nahin tha sazishen karna mere KHilaf

  jab apni aarzuon ka qatil bhi main hi tha

  shab bhar har ek KHayal muKHatib mujhi se tha

  tanhaiyon mein raunaq-e-mahfil bhi main hi tha

  duniya se be-niyazi bhi fitrat meri hi thi

  duniya ke ranj o dard mein shamil bhi main hi tha

  mujh ko samajh na pai meri zindagi kabhi

  aasaniyan mujhi se thin mushkil bhi main hi tha

  mujh mein tha KHair o shar ka ajab imtizaj 'shad'

  main KHud hi haq-parast tha baatil bhi main hi tha

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY

  Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

  GET YOUR PASS
  Speak Now