koi paiham pukarta hai mujhe
koī paiham pukārtā hai mujhe
jaane kis kā bharam huā hai mujhe
ek paikar hai dhuul miTTī kā
justujū kā yahī sila hai mujhe
ginte rahnā hameñ na itrānā
uḌtī sāñsoñ ne ye kahā hai mujhe
aap kī chāhateñ bajā lekin
merā āñgan bulā rahā hai mujhe
nahīñ darkār āsmāñ 'mushfiq'
hai bahut muḳhtasar havā hai mujhe
koi paiham pukarta hai mujhe
jaane kis ka bharam hua hai mujhe
ek paikar hai dhul miTTi ka
justuju ka yahi sila hai mujhe
ginte rahna hamein na itrana
uDti sanson ne ye kaha hai mujhe
aap ki chahaten baja lekin
mera aangan bula raha hai mujhe
nahin darkar aasman 'mushfiq'
hai bahut muKHtasar hawa hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.