Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi pursan-e-haal ho to kahen

Mirza Hamid Lakhnavi

koi pursan-e-haal ho to kahen

Mirza Hamid Lakhnavi

MORE BYMirza Hamid Lakhnavi

    koī pursān-e-hāl ho to kaheñ

    aur ham se savāl ho to kaheñ

    dard meñ e'tidāl ho to kaheñ

    kuchh jo hālat bahāl ho to kaheñ

    jab suḳhan majāl ho to kaheñ

    guftanī dil haal ho to kaheñ

    sitam-o-jaur nahīñ shikva

    dil meñ gard-e-malāl ho to kaheñ

    husn-e-yūsuf hai qissa-e-māzī

    un koī misāl ho to kaheñ

    fā.eda kyā ki baat bhī jaa.e

    aap ko kuchh ḳhayāl ho to kaheñ

    saañs ukhaḌtī hai baat karne meñ

    tāqat-e-arz-e-hāl ho to kaheñ

    aap ḳhayāl hai ham ko

    aur koī ḳhayāl ho to kaheñ

    kyoñ chhupā.eñ dard-e-dil 'hāmid'

    kahne kuchh ḳhayāl ho to kaheñ

    koi pursan-e-haal ho to kahen

    aur hum se sawal ho to kahen

    dard mein e'tidal ho to kahen

    kuchh jo haalat bahaal ho to kahen

    jab suKHan ki majal ho to kahen

    guftani dil ka haal ho to kahen

    sitam-o-jaur ka nahin shikwa

    dil mein gard-e-malal ho to kahen

    husn-e-yusuf hai qissa-e-mazi

    un ki koi misal ho to kahen

    faeda kya ki baat bhi jae

    aap ko kuchh KHayal ho to kahen

    sans ukhaDti hai baat karne mein

    taqat-e-arz-e-haal ho to kahen

    aap hi ka KHayal hai hum ko

    aur koi KHayal ho to kahen

    kyon chhupaen na dard-e-dil 'hamid'

    kahne ka kuchh KHayal ho to kahen

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Mirza Hamid Lakhnavi

    Mirza Hamid Lakhnavi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta 10th Edition | 5-6-7 December Get Tickets Here

    Speak Now