Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi raaz nahin koi bhed nahin sab zahir hai to chhupaen kya

Kaleem Qaisar Balrampuri

koi raaz nahin koi bhed nahin sab zahir hai to chhupaen kya

Kaleem Qaisar Balrampuri

MORE BYKaleem Qaisar Balrampuri

    koī raaz nahīñ koī bhed nahīñ sab zāhir hai to chhupā.eñ kyā

    tum zid pe aḌe tum shak meñ paḌe tum ḳhud kaho batlā.eñ kyā

    koī karb nahīñ koī dard nahīñ chehra bhī hamārā zard nahīñ

    jab dil meñ na uTThe Tiis koī phir sachchā sher sunā.eñ kyā

    ham dil ko kyā nāshād kareñ kyā vaqt apnā barbād kareñ

    be-vaj.h tumheñ kyā yaad kareñ āñkhoñ ko ḳhuun rulā.eñ kyā

    ab saath jo terā chhūT gayā ik ḳhvāb thā so vo TuuT gayā

    kyā rah rah us ko yaad kareñ aur ro ro kar pachhtā.eñ kyā

    jab amn-o-sukūñ hai bastī meñ koī khoT nahīñ hai mastī meñ

    vīrānī ye kisī chāroñ taraf kartā hai ye saa.eñ saa.eñ kyā

    koi raaz nahin koi bhed nahin sab zahir hai to chhupaen kya

    tum zid pe aDe tum shak mein paDe tum KHud hi kaho batlaen kya

    koi karb nahin koi dard nahin chehra bhi hamara zard nahin

    jab dil mein na uTThe Tis koi phir sachcha sher sunaen kya

    hum dil ko kya nashad karen kya waqt apna barbaad karen

    be-wajh tumhein kya yaad karen aankhon ko KHun rulaen kya

    ab sath jo tera chhuT gaya ek KHwab tha so wo TuT gaya

    kya rah rah us ko yaad karen aur ro ro kar pachhtaen kya

    jab amn-o-sukun hai basti mein koi khoT nahin hai masti mein

    virani ye kisi chaaron taraf karta hai ye saen saen kya

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now