Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi riste hue zaKHmon ki dawa ban jae

Rafiq Siraji

koi riste hue zaKHmon ki dawa ban jae

Rafiq Siraji

MORE BYRafiq Siraji

    koī riste hue zaḳhmoñ davā ban jaa.e

    koī bīmār-e-mohabbat ḳhudā ban jaa.e

    koī be-sūd umīdoñ sahārā hove

    koī bahte hue ashkoñ ridā ban jaa.e

    koī pahuñche mirī taskīn sāmāñ ban kar

    koī taḌpī huī aahoñ sadā ban jaa.e

    koī hamdard uThe mūnis-o-ġham-ḳhvār bane

    mere haq meñ koī phir dast-e-duā ban jaa.e

    koī ubhre mire hoñToñ pe siyāhī ban kar

    āḳhrī hichkī bane vaj.h-e-qazā ban jaa.e

    koī darmāñda javānī ko bhī pahnā.e kafan

    ro.e chillā.e ki pur-shor fazā ban jaa.e

    ham ko le jaa.e mazāroñ ke nagar koī 'rafīq'

    koī be-dast janāze asā ban jaa.e

    koi riste hue zaKHmon ki dawa ban jae

    koi bimar-e-mohabbat ka KHuda ban jae

    koi be-sud umidon ka sahaara howe

    koi bahte hue ashkon ki rida ban jae

    koi pahunche meri taskin ka saman ban kar

    koi taDpi hui aahon ki sada ban jae

    koi hamdard uThe munis-o-gham-KHwar bane

    mere haq mein koi phir dast-e-dua ban jae

    koi ubhre mere honTon pe siyahi ban kar

    aaKHri hichki bane wajh-e-qaza ban jae

    koi darmanda jawani ko bhi pahnae kafan

    roe chillae ki pur-shor faza ban jae

    hum ko le jae mazaron ke nagar koi 'rafiq'

    koi be-dast janaze ka asa ban jae

    Source:

    Ghazlistan-e-Barar (Pg. 308)

      • Publisher: Sajid Urdu Press, Akola
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now