Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi saya sa lipaT jata hai dil se aa kar

Yasmeen Hameed

koi saya sa lipaT jata hai dil se aa kar

Yasmeen Hameed

MORE BYYasmeen Hameed

    koī saaya lipaT jaatā hai dil se aa kar

    khiḌkiyāñ kholnī paḌtī haiñ mujhe ghabrā kar

    be-samar peḌoñ ḳhvāhish bhī ajab ḳhvāhish hai

    biij botī huuñ kahīñ aur se miTTī kar

    ḳhaak par phuul jo khiltā hai to maiñ sochtī huuñ

    koī ḳhush hotā thā ik rang mujhe pahnā kar

    apne gahnoñ meñ kisī aur chehra dekhā

    zindagī mujh pe hañsī mere ghar meñ aa kar

    jaise duniyā se bahut duur chalī aa.ī huuñ

    mutma.in rahtī huuñ ik jhuuT se bahlā kar

    koi saya sa lipaT jata hai dil se aa kar

    khiDkiyan kholni paDti hain mujhe ghabra kar

    be-samar peDon ki KHwahish bhi ajab KHwahish hai

    bij boti hun kahin aur se miTTi la kar

    KHak par phul jo khilta hai to main sochti hun

    koi KHush hota tha ek rang mujhe pahna kar

    apne gahnon mein kisi aur ka chehra dekha

    zindagi mujh pe hansi mere hi ghar mein aa kar

    jaise duniya se bahut dur chali aai hun

    mutmain rahti hun ek jhuT se ji bahla kar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now