koi samjhe to kya samjhe mere gham ke maani bhi
koī samjhe to kyā samjhe mire ġham ke ma'ānī bhī
mire hoñThoñ pe naġhma bhī mirī āñkhoñ meñ paanī bhī
tire chehre se miltī hai mire ash'ār kī rangat
gulābī hai zarā sī aur thoḌī āsmānī bhī
idhar dahshat sī hotī hai shab-e-ġham ke fasānoñ se
udhar achchhī nahīñ lagtī mohabbat kī kahānī bhī
bahut kuchh kah diyā us ne asar-andāz lafzoñ meñ
bahut kuchh kah ga.ī lekin kisī kī be-zabānī bhī
mirā sab haal us se hū-ba-hū jā kar bayāñ karnā
ye jo tahrīr hai ḳhat meñ yahī kahnā zabānī bhī
kabhī maiñ paar kar jā.ūñgā sarhad be-yaqīnī kī
kisī din duur ho jā.egī terī bad-gumānī bhī
baḌī qīmat chukānī paḌ ga.ī shāyad masarrat kī
bahut ġhamgīn sī kyoñ hai tumhārī shādmānī bhī
koi samjhe to kya samjhe mere gham ke ma'ani bhi
mere honThon pe naghma bhi meri aankhon mein pani bhi
tere chehre se milti hai mere ash'ar ki rangat
gulabi hai zara si aur thoDi aasmani bhi
idhar dahshat si hoti hai shab-e-gham ke fasanon se
udhar achchhi nahin lagti mohabbat ki kahani bhi
bahut kuchh kah diya us ne asar-andaz lafzon mein
bahut kuchh kah gai lekin kisi ki be-zabani bhi
mera sab haal us se hu-ba-hu ja kar bayan karna
ye jo tahrir hai KHat mein yahi kahna zabani bhi
kabhi main par kar jaunga sarhad be-yaqini ki
kisi din dur ho jaegi teri bad-gumani bhi
baDi qimat chukani paD gai shayad masarrat ki
bahut ghamgin si kyon hai tumhaari shadmani bhi
- Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 109)
- Author : Manish Shukla
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.