Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi sanam to ho koi apna KHuda to ho

Bashar Nawaz

koi sanam to ho koi apna KHuda to ho

Bashar Nawaz

MORE BYBashar Nawaz

    koī sanam to ho koī apnā ḳhudā to ho

    is dasht-e-be-kasī meñ koī aasrā to ho

    kuchh dhuñdle dhuñdle ḳhvāb haiñ kuchh kāñpte charāġh

    zād-e-safar yahī hai kuchh is ke sivā to ho

    sūraj jab na chamke to pighlegī barf kyā

    ban jaa.eñ vo bhī mom magar dil dukhā to ho

    har chehra maslahat naqāboñ meñ kho gayā

    mil baiTheñ kis ke saath koī āshnā to ho

    ḳhāmosh pattharoñ tarah kyuuñ huā hai shahr

    dhaḌkan diloñ gar nahīñ āvāz-e-pā to ho

    baaqī hai ek dard rishta so vo bhī ab

    kis se nibhā.eñ ham koī dard-āshnā to ho

    koi sanam to ho koi apna KHuda to ho

    is dasht-e-be-kasi mein koi aasra to ho

    kuchh dhundle dhundle KHwab hain kuchh kanpte charagh

    zad-e-safar yahi hai kuchh is ke siwa to ho

    suraj hi jab na chamke to pighlegi barf kya

    ban jaen wo bhi mom magar dil dukha to ho

    har chehra maslahat ki naqabon mein kho gaya

    mil baiThen kis ke sath koi aashna to ho

    KHamosh pattharon ki tarah kyun hua hai shahr

    dhaDkan dilon ki gar nahin aawaz-e-pa to ho

    baqi hai ek dard ka rishta so wo bhi ab

    kis se nibhaen hum koi dard-ashna to ho

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 998)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now