Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi sawal na koi jawab dil mein hai

Khursheed Rizvi

koi sawal na koi jawab dil mein hai

Khursheed Rizvi

MORE BYKhursheed Rizvi

    koī savāl na koī javāb dil meñ hai

    bas ek dard-o-alam sahāb dil meñ hai

    jarāhateñ jo lagīñ tan pe zeb-e-tan kar liiñ

    jo dil ke zaḳhm the un hisāb dil meñ hai

    agar lahū hai to āñkhoñ meñ kyuuñ nahīñ aatā

    ye mauj-e-ḳhūñ hai ki mauj-e-sarāb dil meñ hai

    mudām zāhir-o-bātin meñ ye ḳhalīj rahī

    nigāh ġharq-e-gunah ehtisāb dil meñ hai

    sahīfa-e-alam-e-rozgār hāthoñ meñ

    khulī huī tire ġham kitāb dil meñ hai

    nazar ke sāmne uTTheñge roz-e-hashr magar

    vo dil meñ dafn rahegā jo ḳhvāb dil meñ hai

    agar jigar meñ ho sāre-jahāñ dard to ḳhair

    ye kyā ki sāre-jahāñ azaab dil meñ hai

    koi sawal na koi jawab dil mein hai

    bas ek dard-o-alam ka sahab dil mein hai

    jarahaten jo lagin tan pe zeb-e-tan kar lin

    jo dil ke zaKHm the un ka hisab dil mein hai

    agar lahu hai to aankhon mein kyun nahin aata

    ye mauj-e-KHun hai ki mauj-e-sarab dil mein hai

    mudam zahir-o-baatin mein ye KHalij rahi

    nigah gharq-e-gunah ehtisab dil mein hai

    sahifa-e-alam-e-rozgar hathon mein

    khuli hui tere gham ki kitab dil mein hai

    nazar ke samne uTThenge roz-e-hashr magar

    wo dil mein dafn rahega jo KHwab dil mein hai

    agar jigar mein ho sare-jahan ka dard to KHair

    ye kya ki sare-jahan ka azab dil mein hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now