Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi sunta hi nahin unki sada mere baad

Qazi Ghulam Mohammad

koi sunta hi nahin unki sada mere baad

Qazi Ghulam Mohammad

MORE BYQazi Ghulam Mohammad

    koī suntā nahīñ un sadā mere ba.ad

    haa.e kyā vaqt añdheroñ pe paḌā mere ba.ad

    vaqt se pahle ab us sahar hotī hai

    huī mansūḳh shab-e-ġham sazā mere ba.ad

    ġhair ko us ne shab-e-vasl meñ DāñTā do baar

    mil gayā mujh ko vafāoñ sila mere ba.ad

    koī jaatā nahīñ bachchoñ qatāreñ le kar

    haspatāloñ meñ vo charchā na rahā mere ba.ad

    weight lifter koī mujh na huā jo paidā

    kaun uThā.egā tire naaz batā mere ba.ad

    ḳhuuñ hai dil ḳhaak meñ ahvāl-e-butāñ par ya.anī

    kis ye ke dabā.eñge galā mere ba.ad

    apnī mahrūmī-e-qismat pe hañsī aatī hai

    duudh bāzār meñ ḳhālis bhī bikā mere ba.ad

    mere mātam meñ nahīñ apnī raqam ke ġham meñ

    shahr baniyā siyah-posh huā mere ba.ad

    un tafrīh sāmān-e-tarab thā maiñ

    doctor log haiñ jiine se ḳhafā mere ba.ad

    rasm-e-iflās tahzīb thī mujh se qaa.em

    uTh ga.ī dahr se jiine adā mere ba.ad

    koi sunta hi nahin un ki sada mere baad

    hae kya waqt andheron pe paDa mere baad

    waqt se pahle hi ab us ki sahar hoti hai

    hui mansuKH shab-e-gham ki saza mere baad

    ghair ko us ne shab-e-wasl mein DanTa do bar

    mil gaya mujh ko wafaon ka sila mere baad

    koi jata nahin bachchon ki qataren le kar

    haspatalon mein wo charcha na raha mere baad

    weight lifter koi mujh sa na hua jo paida

    kaun uThaega tere naz bata mere baad

    KHun hai dil KHak mein ahwal-e-butan par yani

    kis ka ye ja ke dabaenge gala mere baad

    apni mahrumi-e-qismat pe hansi aati hai

    dudh bazar mein KHalis bhi bika mere baad

    mere matam mein nahin apni raqam ke gham mein

    shahr ka baniya siyah-posh hua mere baad

    un ki tafrih ka saman-e-tarab tha main hi

    doctor log hain jine se KHafa mere baad

    rasm-e-iflas ki tahzib thi mujh se qaem

    uTh gai dahr se jine ki ada mere baad

    Source:

    Harf-e-Shirin (Pg. 22)

    • Author: Qazi Ghulam Mohammad
      • Publisher: Idara-e-Adabiyat-e-Urdu, Hyderabad
      • Year of Publication: 1962
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now