Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi to kahe baat qafas mein gul-e-tar ki

Maulwi Syed Mumtaz Ali

koi to kahe baat qafas mein gul-e-tar ki

Maulwi Syed Mumtaz Ali

MORE BYMaulwi Syed Mumtaz Ali

    koī to kahe baat qafas meñ gul-e-tar

    ham ne to gulistāñ meñ bhī kāñToñ pe basar

    āñkhoñ meñ alaav se dahakte haiñ shab-o-roz

    dil khol ke ro.e haiñ na bharpūr nazar

    gulchīñ bhī tahī-dast hai sayyād bhī hairāñ

    kyā dhuum bahāroñ meñ machī sho.abda-gar

    dāman nahīñ aaj sarāpā hai darīda

    sau zaḳhm uThā.e haiñ jo ik baar nazar

    ye zaḳhm huā misr ke bāzār yūsuf

    qīmat paḌegī yahāñ kuchh arz-e-hunar

    is peḌ ai sang-zano phal to uThāo

    ab bhī pas-e-dīvār hai raunaq mire ghar

    tum raat ġhhambīr siyāhī meñ ghule ho

    kab phuul khilā.e kahīñ tā.īd-e-sahar

    raunaq bhī ga.ī dil bharam bhī gayā 'sarmad'

    ab to yahāñ Dastī huī vahshat hai khañDar

    koi to kahe baat qafas mein gul-e-tar ki

    hum ne to gulistan mein bhi kanTon pe basar ki

    aankhon mein alaw se dahakte hain shab-o-roz

    dil khol ke roe hain na bharpur nazar ki

    gulchin bhi tahi-dast hai sayyaad bhi hairan

    kya dhum bahaaron mein machi shoabda-gar ki

    daman hi nahin aaj sarapa hai darida

    sau zaKHm uThae hain jo ek bar nazar ki

    ye zaKHm hua misr ke bazar ka yusuf

    qimat na paDegi yahan kuchh arz-e-hunar ki

    is peD ka ai sang-zano phal to uThao

    ab bhi pas-e-diwar hai raunaq mere ghar ki

    tum raat ki ghambir siyahi mein ghule ho

    kab phul khilae kahin taid-e-sahar ki

    raunaq bhi gai dil ka bharam bhi gaya 'sarmad'

    ab to yahan Dasti hui wahshat hai khanDar ki

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now