Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi to tha dhanak dhanak KHwab mein ya KHayal mein

Baqar Naqvi

koi to tha dhanak dhanak KHwab mein ya KHayal mein

Baqar Naqvi

MORE BYBaqar Naqvi

    koī to thā dhanak dhanak ḳhvāb meñ ḳhayāl meñ

    rañg 'ajīb ghul ga.e kaifiyyat-e-malāl meñ

    mohr thī mire nutq par tere laboñ naġhmagī

    varna javāb the chhupe tere har ik savāl meñ

    bol soch soch kar chal sambhal sambhal ke chal

    hai bahut gulo baat ham ne tirī misāl meñ

    sard dinoñ tarah gum ho ga.ī apnī zindagī

    farq kahāñ rahā koī maah meñ aur saal meñ

    mere rivāq-e-dil meñ chaltā thā kitne naaz se

    aa ga.ī kaise ab lachak terī sabā chaal meñ

    mere firāq meñ tirī 'umr Thahar ga.ī thī kyā

    baal safed ho ga.e mere tire ḳhayāl meñ

    mausam-e-tāza ho kabhī merī taraf bhī ik nazar

    utre koī nayā parind mere ġhamoñ ke taal meñ

    apne kināra kar na ab 'bāqar'-e-ḳhush-misāl se

    be-hunarī sharīk thī us tire kamāl meñ

    koi to tha dhanak dhanak KHwab mein ya KHayal mein

    rang 'ajib ghul gae kaifiyyat-e-malal mein

    mohr thi mere nutq par tere labon ki naghmagi

    warna jawab the chhupe tere har ek sawal mein

    bol tu soch soch kar chal tu sambhal sambhal ke chal

    ki hai bahut gulo ki baat hum ne teri misal mein

    sard dinon ki tarah gum ho gai apni zindagi

    farq kahan raha koi mah mein aur sal mein

    mere riwaq-e-dil mein tu chalta tha kitne naz se

    aa gai kaise ab lachak teri saba si chaal mein

    mere firaq mein teri 'umr Thahar gai thi kya

    baal safed ho gae mere tere KHayal mein

    mausam-e-taza ho kabhi meri taraf bhi ek nazar

    utre koi naya parind mere ghamon ke tal mein

    apne kinara kar na ab 'baqar'-e-KHush-misal se

    be-hunari sharik thi us ki tere kamal mein

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now