Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi tum jaisa tha aisa hi koi chehra tha

Khalilur Rahman Azmi

koi tum jaisa tha aisa hi koi chehra tha

Khalilur Rahman Azmi

MORE BYKhalilur Rahman Azmi

    koī tum jaisā thā aisā koī chehrā thā

    yaad aatā hai ki ik ḳhvāb kabhī dekhā thā

    raat jab der talak chāñd nahīñ niklā thā

    merī tarah se saaya bhī mirā tanhā thā

    jaane kyā soch ke tum ne mirā dil pher diyā

    mere pyāre isī miTTī meñ mirā sonā thā

    vo bhī kam-baḳht zamāne havā le ke ga.ī

    merī āñkhoñ meñ mirī mai jo ik qatra thā

    na jaagā magar ai dil tire darvāze par

    aisā lagtā hai koī pichhle pahar aayā thā

    terī dīvār saaya na ḳhafā ho mujh se

    raah chalte yūñhī kuchh der ko aa baiThā thā

    ai shab-e-ġham mujhe ḳhvāboñ meñ sahī dikhlā de

    merā sūraj tirī vaadī meñ kahīñ Duubā thā

    ik mirī aañkh shabnam se sharābor rahī

    sub.h ko varna har ik phuul muñh sūkhā thā

    tum zarā thaam lo aa kar kabhī paimāna-e-jāñ

    dekho dekho mire hāthoñ se abhī chhūTā thā

    koi tum jaisa tha aisa hi koi chehra tha

    yaad aata hai ki ek KHwab kabhi dekha tha

    raat jab der talak chand nahin nikla tha

    meri hi tarah se saya bhi mera tanha tha

    jaane kya soch ke tum ne mera dil pher diya

    mere pyare isi miTTi mein mera sona tha

    wo bhi kam-baKHt zamane ki hawa le ke gai

    meri aankhon mein meri mai ka jo ek qatra tha

    tu na jaga magar ai dil tere darwaze par

    aisa lagta hai koi pichhle pahar aaya tha

    teri diwar ka saya na KHafa ho mujh se

    rah chalte yunhi kuchh der ko aa baiTha tha

    ai shab-e-gham mujhe KHwabon mein sahi dikhla de

    mera suraj teri wadi mein kahin Duba tha

    ek meri aankh hi shabnam se sharabor rahi

    subh ko warna har ek phul ka munh sukha tha

    tum zara tham lo aa kar kabhi paimana-e-jaan

    dekho dekho mere hathon se abhi chhuTa tha

    Source:

    Teri Sadaa Ka Intezaar (Pg. 64)

    • Author: Khaleel-Ur-Rehman Azmi
      • Edition: First
      • Publisher: Rekhta Publications
      • Year of Publication: 2018
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now