Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi TuTi hui kashti ka taKHta bhi agar hai la

Shafiq Jaunpuri

koi TuTi hui kashti ka taKHta bhi agar hai la

Shafiq Jaunpuri

MORE BYShafiq Jaunpuri

    koī TuuTī huī kashtī taḳhta bhī agar hai

    abhī sāhil pe hai to aur pesh-az-marg vāvailā

    añdherī raat se Dartā hai mīr-e-kārvāñ ho ke

    añdherā hai to apne dāġh-e-dil raushnī phailā

    na ghabrā tīrgī se qasam hai sañg-e-asvad

    ki tārīkī meñ soī hai shām-e-gesū-e-lailā

    mazāq-e-shādī-o-ġham tā-kujā ai ḳhaak ke putle

    jo in donoñ se bālā-tar hoñ aisī bhī koī shai

    sharāb-e-asr-e-nau meñ be-ḳhudī hai nai ḳhudī saaqī

    jo ne aaj se pahle pilā.ī thī vahī mai

    man andāz-e-qadat-rā shanāsam mard-e-afrañgī

    ki kapḌe saaf haiñ lekin badan nāpāk dil mailā

    kisī nāz-e-husn aur ai 'shafīq' apnā ye kah denā

    ki qīmat meñ agar dil ke barābar ho koī shai

    koi TuTi hui kashti ka taKHta bhi agar hai la

    abhi sahil pe hai to aur pesh-az-marg wawaila

    andheri raat se Darta hai mir-e-karwan ho ke

    andhera hai to apne dagh-e-dil ki raushni phaila

    na ghabra tirgi se tu qasam hai sang-e-aswad ki

    ki tariki hi mein soi hai sham-e-gesu-e-laila

    mazaq-e-shadi-o-gham ta-kuja ai KHak ke putle

    jo in donon se baala-tar hon aisi bhi koi shai la

    sharab-e-asr-e-nau mein be-KHudi hai nai KHudi saqi

    jo tu ne aaj se pahle pilai thi wahi mai la

    man andaz-e-qadat-ra mi shanasam mard-e-afrangi

    ki kapDe saf hain lekin badan napak dil maila

    kisi ka naz-e-husn aur ai 'shafiq' apna ye kah dena

    ki qimat mein agar dil ke barabar ho koi shai la

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 106)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now