koi wahshi chiz si zanjir-e-pa jaise hawa
koī vahshī chiiz sī zanjīr-e-pā jaise havā
duur tak lekin safar kā silsila jaise havā
band kamre meñ parāganda ḳhayāloñ kī ghuTan
aur darvāze pe ik āvāz-e-pā jaise havā
girtī dīvāroñ ke nīche saa.e jaise aadmī
tañg galiyoñ meñ faqat aks-e-havā jaise havā
āsmāñ-tā-āsmāñ sunsān sannāTe kī jhiil
dā.era-dar-dā.era merī navā jaise havā
do larazte haath jaise saaya phailā.e shajar
kāñpte hoñToñ pe ik harf-e-duā jaise havā
pāniyoñ meñ Dūbtī jaise rutoñ kī kashtiyāñ
sāhiloñ par chīḳhtī koī sadā jaise havā
kitnā ḳhālī hai ye dāman jis tarah dāmān-e-dasht
kuchh na kuchh to de use mere ḳhudā jaise havā
koi wahshi chiz si zanjir-e-pa jaise hawa
dur tak lekin safar ka silsila jaise hawa
band kamre mein paraganda KHayalon ki ghuTan
aur darwaze pe ek aawaz-e-pa jaise hawa
girti diwaron ke niche sae jaise aadmi
tang galiyon mein faqat aks-e-hawa jaise hawa
aasman-ta-asman sunsan sannaTe ki jhil
daera-dar-daera meri nawa jaise hawa
do larazte hath jaise saya phailae shajar
kanpte honTon pe ek harf-e-dua jaise hawa
paniyon mein Dubti jaise ruton ki kashtiyan
sahilon par chiKHti koi sada jaise hawa
kitna KHali hai ye daman jis tarah daman-e-dasht
kuchh na kuchh to de use mere KHuda jaise hawa
- Book : Hoshiyari Dil-e-Nadan Bahut Karta Hai (Pg. 87)
- Author : Irfan Siddiqi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.