Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kore kaghaz ki tarah be-nur babon mein raha

Yusuf Jamal

kore kaghaz ki tarah be-nur babon mein raha

Yusuf Jamal

MORE BYYusuf Jamal

    kore kāġhaz tarah be-nūr bāboñ meñ rahā

    tīrgī hāshiya ban kar kitāboñ meñ rahā

    maiñ aziyyat-nāk lamhoñ ke itāboñ meñ rahā

    dard qaidī banā ḳhāna ḳharāboñ meñ rahā

    jis qadar jism ko maqrūz sāñsoñ zakāt

    kyā batā.ūñ jism utnā azāboñ meñ rahā

    be-sifat sahrā huuñ kyuuñ sahrā-navardoñ ne kahā

    har qadam par jab ki maiñ andhe sarāboñ meñ rahā

    vaqt mahrūmiyoñ ne chhīn merī zabān

    varna ik muddat talak maiñ lā-javāboñ meñ rahā

    DhūñDte ho kyuuñ jalī tahrīr ke asbāq meñ

    maiñ to kohre tarah dhuñdle nisāboñ meñ rahā

    kore kaghaz ki tarah be-nur babon mein raha

    tirgi ka hashiya ban kar kitabon mein raha

    main aziyyat-nak lamhon ke itabon mein raha

    dard ka qaidi bana KHana KHarabon mein raha

    jis qadar di jism ko maqruz sanson ki zakat

    kya bataun jism utna hi azabon mein raha

    be-sifat sahra hun kyun sahra-nawardon ne kaha

    har qadam par jab ki main andhe sarabon mein raha

    waqt ki mahrumiyon ne chhin li meri zaban

    warna ek muddat talak main la-jawabon mein raha

    DhunDte ho kyun jali tahrir ke asbaq mein

    main to kohre ki tarah dhundle nisabon mein raha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now