Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koshish bhi ki to dil se na usko bhala sake

Sardar Khan Soz

koshish bhi ki to dil se na usko bhala sake

Sardar Khan Soz

MORE BYSardar Khan Soz

    koshish bhī to dil se na us ko bhalā sake

    aur is meñ raaz kyā hai abhī tak na sake

    merī suno ki chaah nahīñ be-diloñ kaam

    vo jaa.e us galī meñ jo ḳhuuñ meñ nahā sake

    qaid-e-qafas meñ tāqat-e-parvāz miT ga.ī

    chhuT to ga.e pe sū-e-nasheman na sake

    aahoñ se kuchh huā na taḌapne se kuchh banā

    aañsū bhī dil aag na ab tak bujhā sake

    guzre bhī paas se to hayā se simaT ga.e

    sarkā sake naqāb na āñchal haTā sake

    ḳhud ibtidā-e-ishq bhī bhuul bhī ga.e

    ham bhuul kar bhī un ko na dil se bhulā sake

    kyā aap se kaheñ dil-e-muztar apne haal

    us to chārāgar na kabhī taab sake

    ḳhuddāriyāñ bhī ishq meñ zanjīr-e-pā thiiñ 'soz'

    us āstāñ pe ham na jabīñ ko jhukā sake

    koshish bhi ki to dil se na us ko bhala sake

    aur is mein raaz kya hai abhi tak na pa sake

    meri suno ki chah nahin be-dilon ka kaam

    wo jae us gali mein jo KHun mein naha sake

    qaid-e-qafas mein taqat-e-parwaz miT gai

    chhuT to gae pe su-e-nasheman na ja sake

    aahon se kuchh hua na taDapne se kuchh bana

    aansu bhi dil ki aag na ab tak bujha sake

    guzre bhi pas se to haya se simaT gae

    sarka sake naqab na aanchal haTa sake

    KHud ibtida-e-ishq bhi ki bhul bhi gae

    hum bhul kar bhi un ko na dil se bhula sake

    kya aap se kahen dil-e-muztar ka apne haal

    us ki to chaaragar na kabhi tab la sake

    KHuddariyan bhi ishq mein zanjir-e-pa thin 'soz'

    us aastan pe hum na jabin ko jhuka sake

    Source:

    Soz-e-Dil (Pg. 81)

    • Author: Sardar Khan Soz
      • Publisher: Eastern Arts Form America
      • Year of Publication: 1999
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now