koshish-e-tark-e-mulaqat ka afsos nahin
koshish-e-tark-e-mulāqāt kā afsos nahīñ
ab hameñ un kī kisī baat kā afsos nahīñ
azm-e-rāsiḳh hai to ḳhatrāt kā afsos nahīñ
chhat salāmat hai to barsāt kā afsos nahīñ
vaqt par apne har ik chiiz badal jaatī hai
ham ko badle hue hālāt kā afsos nahīñ
ham haiñ achchhe hameñ achchhā nahīñ kahte na sahī
ham ko ġhairoñ ke ḳhayālāt kā afsos nahīñ
ka.aba-e-dil ko bhī Dhāyā hai sitamgāroñ ne
sirf kuchle hue jazbāt kā afsos nahīñ
tū jo kahtā hai bhale hī ke liye kahtā hai
ai 'ḳhalish' terī kisī baat kā afsos nahīñ
koshish-e-tark-e-mulaqat ka afsos nahin
ab hamein un ki kisi baat ka afsos nahin
azm-e-rasiKH hai to KHatraat ka afsos nahin
chhat salamat hai to barsat ka afsos nahin
waqt par apne har ek chiz badal jati hai
hum ko badle hue haalat ka afsos nahin
hum hain achchhe hamein achchha nahin kahte na sahi
hum ko ghairon ke KHayalat ka afsos nahin
kaba-e-dil ko bhi Dhaya hai sitamgaron ne
sirf kuchle hue jazbaat ka afsos nahin
tu jo kahta hai bhale hi ke liye kahta hai
ai 'KHalish' teri kisi baat ka afsos nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.