Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koshish-e-zabt nahin ai dil-e-nashad nahin

Anjum Fauqi Badayuni

koshish-e-zabt nahin ai dil-e-nashad nahin

Anjum Fauqi Badayuni

MORE BYAnjum Fauqi Badayuni

    koshish-e-zabt nahīñ ai dil-e-nāshād nahīñ

    iltijā apnī hadoñ meñ ho to fariyād nahīñ

    qissa-e-dard kisī aur rūdād nahīñ

    ek merī ġhazal hai jo mujhe yaad nahīñ

    choT khā kar bhī laboñ par mire fariyād nahīñ

    aur kyā hai jo ye taufīq-e-ḳhudā-dād nahīñ

    tum kabhī pursish-e-hālāt zahmat to karo

    kaun baat hai aisī jo mujhe yaad nahīñ

    kis qadar tuul thī mī.ād-e-asīrī tauba

    ab bhī ye vahm hotā hai ki āzād nahīñ

    ne kis ke liye kāñToñ ko sajāyā jaan

    maiñ ne kyoñ phuul chune the ye mujhe yaad nahīñ

    yuuñ to har rang meñ hai tere karam tārīḳh

    qābil-e-zikr koī baat mujhe yaad nahīñ

    apne saa.e meñ guzrā huuñ har ik daur se maiñ

    tum mire saath kahāñ tak the mujhe yaad nahīñ

    rāt-din sarf-e-ibādat to nahīñ hai 'anjum'

    lekin un meñ bhī nahīñ jin ko ḳhudā yaad nahīñ

    koshish-e-zabt nahin ai dil-e-nashad nahin

    iltija apni hadon mein ho to fariyaad nahin

    qissa-e-dard kisi aur ki rudad nahin

    ek meri hi ghazal hai jo mujhe yaad nahin

    choT kha kar bhi labon par mere fariyaad nahin

    aur kya hai jo ye taufiq-e-KHuda-dad nahin

    tum kabhi pursish-e-haalat ki zahmat to karo

    kaun si baat hai aisi jo mujhe yaad nahin

    kis qadar tul thi miad-e-asiri tauba

    ab bhi ye wahm sa hota hai ki aazad nahin

    tu ne kis ke liye kanTon ko sajaya tu jaan

    main ne kyon phul chune the ye mujhe yaad nahin

    yun to har rang mein hai tere karam ki tariKH

    qabil-e-zikr koi baat mujhe yaad nahin

    apne hi sae mein guzra hun har ek daur se main

    tum mere sath kahan tak the mujhe yaad nahin

    raat-din sarf-e-ibaadat to nahin hai 'anjum'

    lekin un mein bhi nahin jin ko KHuda yaad nahin

    Source:

    Mehr-o-Mah (Pg. 60)

    • Author: Anjum Fauqi Badayuni
      • Publisher: Idara-e-Fauq-ul-Adab, Pakistan
      • Year of Publication: 1980
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now