Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh abruon pe bal bhi hain KHanda-labi ke sath

Anwar Sabri

kuchh abruon pe bal bhi hain KHanda-labi ke sath

Anwar Sabri

MORE BYAnwar Sabri

    kuchh abruoñ pe bal bhī haiñ ḳhanda-labī ke saath

    farmā rahe haiñ jaur magar dil-kashī ke saath

    shāmil ho gar na ġham ḳhalish zindagī ke saath

    rakkhe na koī rabt-e-mohabbat kisī ke saath

    is ehtimām-e-jashn-e-mashiyyat ko kyā kahūñ

    paidā kiyā hai dard dil-e-ādmī ke saath

    jiine na deñ hayāt paiham sharārteñ

    insāñ jo ḳhud sharīr na ho zindagī ke saath

    har gaam par hai laġhzish-e-pā bhī ik ḳhatar

    chaliye rah-e-vafā meñ salāmat-ravī ke saath

    mumkin hai mil jaa.e maqām-e-sukūñ kahīñ

    marg ham-rikāb raho zindagī ke saath

    bā-vasf-e-zikr-e-kausar-o-tasnīm kis liye

    vaa.iz ko zid hai mashġhala-e-mai-kashī ke saath

    mālūm us talḳhi-e-anjām hai magar

    'anvar' bilā ḳhulūs na miliye kisī ke saath

    kuchh abruon pe bal bhi hain KHanda-labi ke sath

    farma rahe hain jaur magar dil-kashi ke sath

    shamil ho gar na gham ki KHalish zindagi ke sath

    rakkhe na koi rabt-e-mohabbat kisi ke sath

    is ehtimam-e-jashn-e-mashiyyat ko kya kahun

    paida kiya hai dard dil-e-admi ke sath

    jine na den hayat ki paiham shararten

    insan jo KHud sharir na ho zindagi ke sath

    har gam par hai laghzish-e-pa ka bhi ek KHatar

    chaliye rah-e-wafa mein salamat-rawi ke sath

    mumkin hai mil hi jae maqam-e-sukun kahin

    ta marg ham-rikab raho zindagi ke sath

    ba-wasf-e-zikr-e-kausar-o-tasnim kis liye

    waiz ko zid hai mashghala-e-mai-kashi ke sath

    malum us ki talKHi-e-anjam hai magar

    'anwar' bila KHulus na miliye kisi ke sath

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now