Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh aise hi tumhaare bin ye dil mera tarasta hai

Virendra Khare Akela

kuchh aise hi tumhaare bin ye dil mera tarasta hai

Virendra Khare Akela

MORE BYVirendra Khare Akela

    kuchh aise tumhāre bin ye dil merā tarastā hai

    khilaunoñ ke liye muflis jyuuñ bachcha tarastā hai

    ga.e vo din ki jab ye tishnagī fariyād kartī thī

    bujhāne ko hamārī pyaas ab dariyā tarastā hai

    nafā nuqsān jhanjhaT to hotā hai tijārat meñ

    mohabbat ho to pītal ke liye sonā tarastā hai

    na jaane kab talak hogī mehrbānī ghaTāoñ

    chaman ke vāste kitnā ye vīrāna tarastā hai

    yahī anjām aksar ham ne dekhā hai mohabbat

    kahīñ rādhā tarastī hai kahīñ kānhā tarastā hai

    pata kuchh bhī nahīñ ham ko magar ham sab samajhte haiñ

    kisī bastī ḳhātir kyoñ vo banjāra tarastā hai

    ki āḳhir ai 'akelā' sabr bhī rakkhe kahāñ tak dil

    bahut kuchh bolne ko ab to ye gūñgā tarastā hai

    kuchh aise hi tumhaare bin ye dil mera tarasta hai

    khilaunon ke liye muflis ka jyun bachcha tarasta hai

    gae wo din ki jab ye tishnagi fariyaad karti thi

    bujhane ko hamari pyas ab dariya tarasta hai

    nafa nuqsan ka jhanjhaT to hota hai tijarat mein

    mohabbat ho to pital ke liye sona tarasta hai

    na jaane kab talak hogi mehrbani ghaTaon ki

    chaman ke waste kitna ye virana tarasta hai

    yahi anjam aksar hum ne dekha hai mohabbat ka

    kahin radha tarasti hai kahin kanha tarasta hai

    pata kuchh bhi nahin hum ko magar hum sab samajhte hain

    kisi basti ki KHatir kyon wo banjara tarasta hai

    ki aaKHir ai 'akela' sabr bhi rakkhe kahan tak dil

    bahut kuchh bolne ko ab to ye gunga tarasta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now