kuchh ajab baat teri jalwa-numai mein hai
kuchh 'ajab baat tirī jalva-numā.ī meñ hai
qaid meñ lutf-e-sukūñ ranj rihā.ī meñ hai
merī taqdīr ke sab taare jahāñ milte haiñ
un kī tasvīr tire dast-e-hinā.ī meñ hai
chāñd tāroñ se kaho raushnī vāpas le leñ
shams-e-tabrez mirī dast-e-rasā.ī meñ hai
jalva-gāh-e-ruḳh-e-'ālam se hameñ kab inkār
par faqat tū hī mirā saarī ḳhudā.ī meñ hai
halqa-e-shams-o-qamar maañg rahe shām-o-sahar
ek kangan jo tirī bā.īñ kalā.ī meñ hai
maiñ ne tujh ko to ḳhatāvār na samjhā thā magar
shak kā pahlū tirī is darja safā.ī meñ hai
kuchh 'ajab baat teri jalwa-numai mein hai
qaid mein lutf-e-sukun ranj rihai mein hai
meri taqdir ke sab tare jahan milte hain
un ki taswir tere dast-e-hinai mein hai
chand taron se kaho raushni wapas le len
shams-e-tabrez meri dast-e-rasai mein hai
jalwa-gah-e-ruKH-e-'alam se hamein kab inkar
par faqat tu hi mera sari KHudai mein hai
halqa-e-shams-o-qamar mang rahe sham-o-sahar
ek kangan jo teri bain kalai mein hai
main ne tujh ko to KHatawar na samjha tha magar
shak ka pahlu teri is darja safai mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.