Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh apne daur ki bhi kahani likha karo

Danish Farahi

kuchh apne daur ki bhi kahani likha karo

Danish Farahi

MORE BYDanish Farahi

    kuchh apne daur bhī kahānī likhā karo

    patthar ko mom ḳhuun ko paanī likhā karo

    jiddat rau meñ log kahāñ se kahāñ ga.e

    tum se bane to baat purānī likhā karo

    vo ahd hai ki shola-fishāñ bijliyoñ ko bhī

    ġhazloñ meñ rañg-o-nūr raanī likhā karo

    lafzoñ ko apne asl ma.ānī se aar hai

    ab dostoñ ko dushman-e-jānī likhā karo

    hai be-hisoñ bhiiḌ na hogā koī asar

    aḳhbār meñ hazār girānī likhā karo

    likhne ke vāste koī unvān chāhiye

    fariyād-o-āh-o-ashk-fishānī likhā karo

    shohrat ke ḳhvāstgāro mirā mashvara hai ye

    'ġhālib' apne aap ko saanī likhā karo

    'dānish' zah-e-nasīb mile zaḳhm-e-lāla-rañg

    har zaḳhm-e-dil ko un nishānī likhā karo

    kuchh apne daur ki bhi kahani likha karo

    patthar ko mom KHun ko pani likha karo

    jiddat ki rau mein log kahan se kahan gae

    tum se bane to baat purani likha karo

    wo ahd hai ki shola-fishan bijliyon ko bhi

    ghazlon mein rang-o-nur ki rani likha karo

    lafzon ko apne asl maani se aar hai

    ab doston ko dushman-e-jaani likha karo

    hai be-hison ki bhiD na hoga koi asar

    aKHbar mein hazar girani likha karo

    likhne ke waste koi unwan chahiye

    fariyaad-o-ah-o-ashk-fishani likha karo

    shohrat ke KHwastgaro mera mashwara hai ye

    'ghaalib' ka apne aap ko sani likha karo

    'danish' zah-e-nasib mile zaKHm-e-lala-rang

    har zaKHm-e-dil ko un ki nishani likha karo

    Source:

    Danish Kada (Pg. 63)

    • Author: Danish Farahi
      • Edition: 2015
      • Publisher: Riyaz Ahmed Farahi, Ramleela Maidan, Saraimeer Azamgarh
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now