aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh apni baat kaho kuchh meri suno mat so

Shahid Ishqi

kuchh apni baat kaho kuchh meri suno mat so

Shahid Ishqi

MORE BYShahid Ishqi

    kuchh apnī baat kaho kuchh mirī suno mat so

    ye raat phir nahīñ aane dosto mat so

    kise ḳhabar ki sabā kyā payām le aa.e

    sadā diloñ ke darīche khule rakho mat so

    bujhīñ jo sham.eñ to raushan karo diloñ ke charāġh

    na bujhne vaale sitāroñ saath do mat so

    jo sun sako to suno tishna-rūh fariyād

    misāl-e-sāġhar mai-e-daur meñ raho mat so

    ḳhirad kahnā hai so jaao vo na aa.egā

    pukār dil yūñhī jāgte raho mat so

    na so sakeñ jo ham āvārgān-e-kūcha-e-shauq

    to tum bhī shahr shab-tāb mah-vasho mat so

    ye jaltī-bujhtī yādoñ kahkashāñ 'ishqī'

    bikhar na jaa.e ġhazal koī kaho mat so

    kuchh apni baat kaho kuchh meri suno mat so

    ye raat phir nahin aane ki dosto mat so

    kise KHabar ki saba kya payam le aae

    sada dilon ke dariche khule rakho mat so

    bujhin jo shamen to raushan karo dilon ke charagh

    na bujhne wale sitaron ka sath do mat so

    jo sun sako to suno tishna-ruh ki fariyaad

    misal-e-saghar mai-e-daur mein raho mat so

    KHirad ka kahna hai so jao wo na aaega

    pukar dil ki yunhi jagte raho mat so

    na so saken jo hum aawargan-e-kucha-e-shauq

    to tum bhi shahr ki shab-tab mah-washo mat so

    ye jalti-bujhti si yaadon ki kahkashan 'ishqi'

    bikhar na jae ghazal hi koi kaho mat so

    Source:

    Qamat (Pg. 44)

    • Author: Shahid Hussain
      • Edition: 1985
      • Publisher: Arshia Publications
      • Year of Publication: 1985
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now