Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh batata nahin kya saneha kar baiTha hai

Farhat Ehsas

kuchh batata nahin kya saneha kar baiTha hai

Farhat Ehsas

MORE BYFarhat Ehsas

    kuchh batātā nahīñ kyā sāneha kar baiThā hai

    dil mirā ek zamāna huā ghar baiThā hai

    ye zamāna mujhe bachcha nazar aane lagā

    jis tarah aa ke mire zer-e-nazar baiThā hai

    mujh se dekhī nahīñ jaatī koī jaatī huī chiiz

    tire uThte mire dil meñ jo Dar baiThā hai

    farq mushkil hai bahut dasht ke bāshindoñ meñ

    aadmī baiThā hai aisā ki shajar baiThā hai

    pul ta.amīr sāmān nahīñ ishq ke paas

    ruuh baiThī hai udhar jism idhar baiThā hai

    rāt-bhar us ne kohrām machā rakkhā thā

    kaisā ma.asūm ab dīda-e-tar baiThā hai

    saare ahbāb taraqqī taraf jaate hue

    'farhat-ehsās' sar-e-rāhguzar baiThā hai

    kuchh batata nahin kya saneha kar baiTha hai

    dil mera ek zamana hua ghar baiTha hai

    ye zamana mujhe bachcha sa nazar aane laga

    jis tarah aa ke mere zer-e-nazar baiTha hai

    mujh se dekhi nahin jati koi jati hui chiz

    tere uThte hi mere dil mein jo Dar baiTha hai

    farq mushkil hai bahut dasht ke bashindon mein

    aadmi baiTha hai aisa ki shajar baiTha hai

    pul ki tamir ka saman nahin ishq ke pas

    ruh baiThi hai udhar jism idhar baiTha hai

    raat-bhar us ne hi kohram macha rakkha tha

    kaisa masum sa ab dida-e-tar baiTha hai

    sare ahbab taraqqi ki taraf jate hue

    'farhat-ehsas' sar-e-rahguzar baiTha hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now