kuchh bhi dil par raqam nahin hota
kuchh bhī dil par raqam nahīñ hotā
ab tirā bhī bharam nahīñ hotā
ek vahshat hai jo musalsal hai
ik junūñ hai jo kam nahīñ hotā
ik tirā ġham lagā liyā dil se
dil ko ab koī ġham nahīñ hotā
raushnī bhī ho aur manzar bhī
sab pe aisā karam nahīñ hotā
rāste ḳhatm hone ko haiñ sabhī
aur safar hai ki kam nahīñ hotā
kuchh bhi dil par raqam nahin hota
ab tera bhi bharam nahin hota
ek wahshat hai jo musalsal hai
ek junun hai jo kam nahin hota
ek tera gham laga liya dil se
dil ko ab koi gham nahin hota
raushni bhi ho aur manzar bhi
sab pe aisa karam nahin hota
raste KHatm hone ko hain sabhi
aur safar hai ki kam nahin hota
- Book : Dhoop Mein Baithne Ke Din Aaye (Pg. 80)
- Author : Sunil Aftab
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.