Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh bhi samajh na paoge mere bayan se

Sanjay Mishra Shauq

kuchh bhi samajh na paoge mere bayan se

Sanjay Mishra Shauq

MORE BYSanjay Mishra Shauq

    kuchh bhī samajh na pāoge mere bayān se

    dekhā bhī hai zamīñ ko kabhī āsmān se

    ham raushnī bhiik nahīñ māñgte kabhī

    jugnū nikālte haiñ añdheroñ kaan se

    mahsūs kar rahī hai zamīñ apne sar pe bojh

    miTTī khisak ke girne lagī hai chaTān se

    hañstī huī bahār chehra utar gayā

    bārūd ban ke lafz jo nikle zabān se

    ham kyuuñ banā rahe haiñ unheñ apnā rahnumā

    jo khelte haiñ roz hamārī jaan se

    qīmat lagā rahe haiñ hamāre lahū vo

    aur chāhte haiñ uf na kareñ ham zabān se

    karnā hai apne ġham izāla bhī ḳhud hameñ

    bārish na hogī amn ab āsmān se

    kuchh bhi samajh na paoge mere bayan se

    dekha bhi hai zamin ko kabhi aasman se

    hum raushni ki bhik nahin mangte kabhi

    jugnu nikalte hain andheron ki kan se

    mahsus kar rahi hai zamin apne sar pe bojh

    miTTi khisak ke girne lagi hai chaTan se

    hansti hui bahaar ka chehra utar gaya

    barud ban ke lafz jo nikle zaban se

    hum kyun bana rahe hain unhen apna rahnuma

    jo khelte hain roz hamari hi jaan se

    qimat laga rahe hain hamare lahu ki wo

    aur chahte hain uf na karen hum zaban se

    karna hai apne gham ka izala bhi KHud hamein

    barish na hogi amn ki ab aasman se

    Source:

    Mujalla Dastavez (Pg. 664)

    • Author: Aziz Nabeel
      • Edition: 2013-14
      • Publisher: Edarah Dastavez
      • Year of Publication: 2013-14
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now