kuchh bhi un par asar nahin dekha
kuchh bhī un par asar nahīñ dekhā
'ishq sā be-hunar nahīñ dekhā
un ke joban ko dekh le jis ne
sarv ko bārvar nahīñ dekhā
ek bijlī nazar meñ kauñd ga.ī
un ko dekhā magar nahīñ dekhā
jo kisī dūsre ke saath chale
ham ne vo ham-safar nahīñ dekhā
ḳhaak chhānī jahān kī kyā kyā
koī ahl-e-nazar nahīñ dekhā
ham ne 'az.har' ko laakh samjhāyā
phir bhī us par asar nahīñ dekhā
kuchh bhi un par asar nahin dekha
'ishq sa be-hunar nahin dekha
un ke joban ko dekh le jis ne
sarw ko barwar nahin dekha
ek bijli nazar mein kaund gai
un ko dekha magar nahin dekha
jo kisi dusre ke sath chale
hum ne wo ham-safar nahin dekha
KHak chhani jahan ki kya kya
koi ahl-e-nazar nahin dekha
hum ne 'azhar' ko lakh samjhaya
phir bhi us par asar nahin dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.